Bank of India me Account kaise khole Dosto BankFiber.com aaj ki iss new post me sawagat hai iss Article me apko ye bataya hai ki Bank of India me Account kaise khole Bank of India me Account kholne ke liye kya kya documents lagega Bank of India Account me kon sa Account khulwana chahiye or Bank of India Account me minimum Balance kitna Maintain karna padega matlab ki apko Bank of India Account ke bare me puri jankari iss Article ko pura padhne ke baad bahut aasani se mil jayegi.
Dosto aaj ke time lagbhag sabhi ke pass apna apna ek bank account jarur hoga ab digital India ki duniya me paise ko kisi ko dena ya Lena sab Online ho gaya hai. kabhi kabhi hame ek se Jayada Bank Account ki jarurat pad jati hai ya phir apke pass khud ka Bank Account nahi hai aise mein aap chahte hai Bank of India me Account open karna to kaise kar sakte hai.
Bank Account bahut tarah ke hote hai jaise Saving Account, Current Account, Current Account….etc generally jo personal use ke liye jis Bank Account ka use Kiya jata hai vo Saving Account hota hai jisko aap Bank of India me Account open kar sakte hain.
Agar aap bhi Bank of India me Account kholne ko soch rahe hai ya apne dost, family mein se kisi ko Bank of India me Account kholne hai to Bank me Account kaise khole ye jankari milegi.
Sabse pahle Bank of India me Account kholne ke liye Documents kya kya lagega ye jange uske baad step by step aage ka jankari process sab janegen.
Central Bank of India me Khata Kaise Khole:- Click Here
Table of Contents
Bank of India Account Opening Documents:-
- Min. Age 18 years
- Aadhar Card
- Pan Card
- 2 Pasport Size photo
- Mobile Number
Note agar Age 18 years nahi hai to Aap Minor Account open karwa sakte hai apke father and Mother ka Documents use karke.
Bank of India me Account Kholne Online/Offline dono Process janegen
Sabse pahle Bank of India me Offline Account open karne ka tarika jante hai Vaise Bank of India me Offline Account kholne ka Process bahut hi simple hai Bank of India me Account kholne ke liye sabse pahle apko apne Near me Bank of India ka Branch Search karna hai jo bhi apke near me Bank of India ka Bank Branch hai.
Uske baad apko Bank of India ka Branch me chale jana hai or Bank Karamchari se apko Khata kholne ka Form le Lena hai.
Uske baad apko iss Khata kholne vala Form ko achhe se bharna hai yaad rahe apko koi bhi Form bharte time mistake nahi karna achha rahega iss form me apko apna besic details bharna hai jaise apna name, father name, mother name, apna full address, mobile number… etc.
Iske alawa apko ye bhi bharna hai ki apko kon sa Khata khulwana hai jaise Saving Account ya Current Account usko apko Form me bhar Dena hai.
Agar aap apne account me Debit Card, Cheque Book….etc sab lena chahte hai to apko ye sabhi ko select kar lena hai agar nahi lena I hai to apko nahi bharna hai.
Uske baad apko Form me Apna Signature bhi karna hai yaad rahe ki apko signature vahi karna hai jahan par Form me jagah diya gaya hai.
aab apko Form me apna Photo laga dena hai or sath me apna documents ka photo Copy laga dena hai jaise aadhar card or pan card ka photo copy lagana hai.
uske baad apko ek Cash Deposit Slip yani Paisa jama karne wala form bank Karamchari se le lena hai uske baad jitna bhi paise apne Khata kholte time apne account me jama karana chahate hai usko bhar karke Form ko jama kar dena hai.
Form jama karte hi apne jitna paise apne Khata me jama karne ke liye diya hai jo paisa jama karne wala tha uska slip apko mil jayegi.
Phir kuch dino ke baad apka Khata ko khol diya jayega or apka ATM Card bhi jaari kar diya jayega uske baad aap Bank me jaa karke apko Jo Slip Mila hai usko bank Karamchari ko degen to apko Bank Passbook mil jayega or apka ATM Card apke Ghar ke Address par aa jayega Bank of India me Account kaise khole ye tarika hai
Bank of India me Account Opening Online kaise kare?
Bank of India Account Opening Online Kaise kare Dosto iske liye sabse pahle Bank of India ka official website page bankofindia.co.in par aana hai jiske liye yahan par click kare.
Uske baad ek Option show karega Personal ka uske par click kare. aab apko Saving ka option milega Saving par click karne ke baad Saving Bank Ordinary Account show karega uss par click karna hai Phir apko Saving Account se related sabhi mil jayegi jisko aap padh lijiyega.
Iske baad Bank of India Website me niche aana hai to Download option show karega uss par Click karna hai.
Uske baad Account Opening- New Form aa jayega uss par click kare phir Saving Account Opening Form Download ho jayega. Ab isko print karwa Lena hai kisi Shop par jaa kar or iss form ko achhe se pura sahi tarika bhar lena hai or signature kar lena hai.
Uske baad Form ke sath me Documents ko laga karke or jitne paise jama karana chahate hai Account kholte time uss form ko bhar karke Bank of India Branch me jama kar dena hai or apko slip mil milega usko achhe se rakh lena hai aab apka Account open kar diya hai.
Kuch dino ke baad Bank of India branch jana hai uske baad apko Jo Slip Mila hai usko bank Karamchari ko dena phir apka Account Number Passbook mil jayega agar aap ATM Card ki suvidha liye honge to apply kiye honge to apko ATM Card apke address par 20-25 dino me aa jayega. ab apko Bank of India me Account kaise khole pata chal gaya hoga.
Bank of India me Khata kaise khulwaye iss se related kuch sawal:-
bank of india me account kholne ke liye documents:-
Bank of India me account kaise khole iske liye apko identity proof, address proof, photo lagega identity proof or address proof me aap ko Aadhar card or Pan Card Dena hai.
Bank Account khulwane me kitna time lagta hai:-
New Bank Account khulwane me 3-5 days ka time lag skta hai.
Bank of India Account me minimum kitna Balance maintain karna hai:-
Bank of India Account me agar apka branch Rural/Semi Urban me hai to apko 500 rupay apke Account me rakhna hota hai. or agar apka branch Metro/Urban me hai to apko 1000 rupay apne Khata me minimum rakhna hota hai.
Bank of India Account Balance Check kaise karte hai:-
Bank of India khata ka balance aap ek miss call karke check kar sakte hai isko liye apko apne registered mobile number se iss number 09266135135 par call karna hai ek miss call jayega call apne se kat jayega uske baad apke pass message aa jayega apke account me kitna paisa hai.
Bank of India me Account kaise khole aab apko samjh me aa gaya hoga ummed hai ki aap apna Bank of India me Khata iss tarah se khol payegen agar apko ye jankari achhi lagi hogi to iss post ko apne dosto or family group me share jarur karen or aise hi or jankari ke liye aap hamare Website BankFiber.com par jarur Visit kare iss post ko pura padhne ke liye aap ka bahut bahut dhanyawad.
Comments are closed.