Dosto iss Article me bataya hai Axis Bank me Zero balance account kaise khole online ghar baithe agar aap india ka top private bank Axis Bank me Account Online open karna chahte hain to aap iss Article ko pura jarur padhe yahan par apko Axis Bank zero balance account opening online step by step process bataya hai
Axis Bank me Account Online open karne ka facility milta hai ab aap Axis Bank account opening online kar sakte hai or iska Full KYC bhi Video Call ke jariye yani VKyc kar sakte apko koi bhi branch visit karne ki jarurat nahi hai sirf aap apne mobile se 5 minute me ghar baithe baithe Axis Bank me zero balance account kaise khol skte hai koi bhi form apko bharne ki jarurat nahi hai.
Vaise dosto aap ko batana chahegen ki aaj ke time me aap bahut sare Bank me online account open karne ki facility mil jata hai jaise- AXIS Bank, Kotak Mahindra Bank, HDFC Bank, Fi Money Bank, Niyox Bank, Indusind Bank… Etc.
Kotak Mahindra Bank me Zero Balance Account kaise kholen Click Here
Axis Bank ek top class private bank hai to iska service bhi dusre Bank ke service se achha hai axis Bank me sabhi trah ki facility mil jata Example ke liye Debit Card/ ATM Card, Cheque Book, online banking jaise mobile banking, net banking, UPI, NEFT, RTGS or sabhi service fast bhi hai.
Axis Bank Debit Card me apko bahut sare offer mil jata hai Flipkart, Amazon, Myntra…etc shopping website se shopping krte hai Axis Bank Debit Card ka use karke to apko 10% tak Cashback har shopping par mil jata hai Axis Bank Debit Card me Debit Card EMI ka bhi facility mil jata hai agar apka bank ke sath achha relation rahe to.
Axis Bank Debit Card ka use karke aap online transaction kar sakte india me bhi or international transaction bhi kar sakte hai agar international transaction karna chahte hai to aap ko Axis Bank me Zero balance account kaise khole janana chahiye or apko axis Bank me Zero balance account kholna chahiye.
Flipkart Axis Bank Credit Card Kaise Apply Kare:- Click Here
Axis Bank Customer Care Support bhi achha hai agar apko koi bhi apne account se related problem aati hai jaise Debit Card/Credit Card Online Transaction karne me ya phir Bank Account open karne me to aap Axis Bank Customer Care Support se sabhi janakari le sakte hai or aap apna Problem solve kar sakte hai.
Axis Bank ki Mobile Banking ka interface kafi achha hai Axis Bank Mobile banking ka use karke apne mobile se apne bank account se kisi ke bhi Bank account me money transfer kar sakte hai yahi nahi aap apne mobile recharge, DTH recharge, electricity bill payment sab kuch ghar baithe hi kar sakte hai or aap Axis Bank Mobile banking app se hi Cheque Book apply online kar sakte hai apne debit card/ Credit Card ko manage kar sakte hai
jaise agar apko online transaction enable/disable karna ho ya phir Axis Bank Debit Card/Credit Card PIN generate karna ho, NEFT, IMPS, RTGS karna ho ya phir New Axis Bank Credit Apply karna ho matlab aap jo kam aap Bank Jane ke baad kar sakte hai vo sabhi kam aap ghar baithe apne Axis Bank Mobile App ke jariye kar sakte hai online.
Apne abhi Tak jan liye hoga ki Axis Bank me Account open karte hai to apko kya kya facility milega. Vaise main apko ek chij batana to bhul hi gaya ki Axis Bank me account open karne ke baad Debit Card or Cheque book apke communication address par account open krne ke 7-15 days me mil jayega.
Axis Bank My Zone Credit Card Lifetime FREE:- Click Here
To chaliye ab jante hai ki Axis Bank me zero balance account kaise khole online or isme account open krne ke liye kya kya document lagega vaise Axis Bank me online account open krne ke liye sirf apke paas Aadhar card ,Pan Card hona chahiye or apka age minimum 18 years hona chahiye agar aap ke pass ye sab hai to aap Axis Bank me Zero Balance Account Kaise Khole Online iss artical ko pura padhe taki aap ko Axis Bank me Zero Balance Account Kaise Khole Online sabhi jankari mil sake or aap ghar baihe sirf 5 minute me apna Axis Bank me Zero Balance Account Online open kar saken.
Axis Bank ka ASAP Digital Saving account open krne ke bare me batane vale hai ye Axis Bank Zero Balance Account hai.
Axis Bank me zero balance account kaise khole online
- Step1:- Axis Bank me Zero balance account open karne ke liye sabse pahle apko Axis Bank Website Account Open Page par aana hoga
- Step2:- Uske baad apke samne kuch iss trah se page open ho jayega agar apse location ka permission allow krne ko bola ja rha hai to allow(Continue) kr dena hai.
- Step3:- ab apko apna PAN Card number, Aadhar Card number or Mobile number dal dena hai or Niche diye Terms and conditions ko accept karke Proceed Option par Click Krna hoga.
- Step4:- uske baad Aadhar Consent dena hai jiske liye I Agree vale Option Click kar dena hai.
- Step5:- apke Aadhar Card me jo mobile number registered hai uss par OTP jayega uss OTP ko dal kar Confirm OTP par Click kr dena hai.
- Step6:- ab apko Account Set up karne ka milega jiske liye apko apna personal details, Family details and Address details dalna hai jab Address details dalte time apko Branch ko select kar lena hai aap kis branch me account open karna chahte hai uske baad I Am INDIAN CITIZEN vale Option par Yes click kar lena hai uske baad niche me diye Review and Proceed vale Option par Click kr dena hai.
- Step7:- uske baad jo apne details dala hai sabhi aa jayega apko ek baad check kar lena sab kuch sahi rahne ke baad Proceed Option par Click kr dena hai.
- Step8:- aab apko Verification Vai Video ka option show karega yani Video KYC karna hai jiske liye Terms & Conditions Accept kar lena hai or Check Agent Availablity vale Option par Click kr dena hai.
- Step9:- uske baad KYC ke liye Agent Search Kiya jayega phir apko Click Here to Start your Video KYC option par Click Krna hai or Allow option par Click Krna hai uske baad apke sath Video KYC Agent jud jayega phir aap se kuch details puch jayega apko apna PAN Card dikhne ke liye bola jayega ye sabhi batane ke baad apka KYC ko Complete kr diya jayega or apka Axis Bank Account Successful open ho jayega. ab apko Account number, IFSC Code, Debit Card sab Screen par Show karega jiska apko screenshot le lena hai agr apke fund Add krne liye bola jaa raha hai to apko fund Add kr lena hai ye Fund apke Bank me hi aa jayega jisko aap jab nikal sakte hai. Axis Bank me Zero Balance Account Kaise Khole Online samjh gaye honge.
Axis Bank Welcome Kit, Debit/ATM Card, Cheque Book apke communication address par 7-15 days me aa jayega.
Ab aap Axis Bank Mobile App ko Play Store se Download karke usme Login kar sakte hai or aap apna account ka sab facility le sakte hai.
To iss trah se aap Axis Bank me Zero balance account opening online kar sakte hai ab apko pata chal gaya hoga ki Axis Bank me Zero balance account kaise khole online 2023 ghar baithe baithe mobile se agar apko hamara ye article pasand aye to aap isse apne friends and family ke share jarur kare or aise hi jankari ke aap hamari website par jarur visit kare post ko pura padhne ke liye aap ka bahut bahut dhanyawad.
Comments are closed.