Dosto aaj 3 best instant loan app in India ke bare mein batane Wale Hain jis se 5 lakh tak Personal Loan le sakte hai. doston agar aap personal loan Lena Chahte Hain Agar aapko paise ki bahut jyada jarurat hai aur aise mein agar aap loan Lena Chahte Hain jisse aap uss jarurat ko pura kar sake aur aap apna kam kar sake.
Paise to har kisi Ko jarurat padati hai doston aur aise Mein emergency me hamen loan lene ki jarurat pad jaati Hai jis Loan lena pad jata hai to Aaj is artical mein aapko 3 best instant loan app ke bare mein batane wale hain jisse aap instant loan le sakte hain.
yahan per doston jo bhi ham aapko loan app ke bare mein bataenge ine sabhi App se aap sirf Aadhar Card aur pan card se 5 Lakh tak personal loan le sakte hain.
Jo bhi loan app Hai yah sabhi RBI approved NBFC hai jo personal Loan dena ka kam karti hai.
Sabhi Loan App ke bare me ek karke batane vale hai kis loan app me kitne din ke liye loan milta hai or kitna interest rate liya jata hai.
Table of Contents
3 Best Instant Loan App
Navi App Personal Loan:-
Navi Loan App jo ki Personal Loans, Home Loans and Health Insurance dene ka kam karti hai yahan par ham sirf Navi App se Personal Loan ke bare me janegen bahut hi assani se aap Navi App se Loan le sakte hai.
Navi App Loan Apply :- Click Here
Navi App se Loan lene ke liye apke pass Aadhar Card, Pan Card, Aadhar Card linked Mobile Number or age minimum 18 years hona chahiye or Credit/CIBIL Score achha hona chahiye. jitna jayada CIBIL Score rahega utna kam interest rate par apko Loan milega.
Navi App se Person Loan ₹20,00,000 tak le sakte hai.
100% Paperless digital process hai
Loan Amount instant apke Bank Account me Transfer kar diya jata hai
Interest rates 9.99% to 45% tak per annum hai
3 months to 72 months tak le sakte hai
Isme EMI Options or Flexible loan available hai
Koi security deposit nhi lagta hai
Example ke through samjhte hai jaise aap ne ₹50,000 Loan liya 12 months ke liye or apko interest rate 22% par mil raha to apko iske liye kitna EMI banega.
EMI banega ₹4,680 per month
Total Amount ₹4,680 x 12 months = ₹56,160
isme alag se processing fees = ₹1,475 lagega
Money View Personal Loan:-
Money View Person Loan ka process quick approval me mil jata hai isme personal loan lene ka 100% paperless process hai.
Money View app personal loan ₹10,000 to 5,00,000 tak deti hai iska tenure 3 months se lekar 5 years tak hai iska annual interest rate 16% to 39% tak hai or processing fees 2% to 3% lagega.
Money View Personal Loan lene ke liye apka Salary Person ya self employed hona jaruri hai or apke pass PAN Card , Aadhar card, aadhar card mobile number link hona chahiye and Apka CIBIL Score bhi 600+ hona chahiye to aap Money View Personal Loan apply kar sakte hai iske alawa apka Age 21 to 59 years hona chahiye.
Money View Personal Loan jisko aap Play Store se download karke Loan apply kar sakte hain.
Example:- jaise agar aap ₹50,000 personal loan lete hai annual interest rate 24% ke sath 12 months ke liye to ₹1,750 + ₹315 GST processing fees lagega. apko Loan Amount apke Bank Account me Credit hoga ₹47,935 (₹50,000-2,065 = ₹47,935)
apka Monthly EMI banege of ₹4,728 jo apka per month EMI Pay karna hai 12 months tak. total loan repayment amount ₹56,736 ho jayega.
Kreditbee instant personal loan App:-
Kreditbee quick online personal loan deti hai iska loan lene ka process 100% paperless hai digital hai. agar apko argent me loan chahiye to kreditbee quick personal loan le sakte hai.
kreditbee personal loan lene ke liye apko indian hona chahiye apke pass Aadhar card, pan card or apka Age 21 hona chahiye ek monthly income hona chahiye.
kreditbee App se 10,000 to 3,00,000 tak loan le sakte hai isme upto 29.95% per year interest rate lagega or 62 days se lekar 24 months tak loan le sakte hai.
Personal Loan Salaried person ke liye 3 to 24 months tak milegi 2.5% processing fee or loan amount ₹10,000 to ₹3,00,000 tak Loan lene ke liye apke pass PAN card, Aadhar Card or Salary proof hona chahiye.
Example ke liye agar aap ₹50,000 ka loan lete hai 12 months ke liye 20% per annum ke sath to apko 2.5% processing fees lagega or New Customer agar honge to ₹200 onboard fee bhi liya jayega.
ji bhi fees lagega uska total GST ₹261 Total Interest amount ₹5,581 ho jayega per month EMI ₹4,632 pay karna hoga.
Loan apke bank account me ₹48,289 credit hoga or apko total total amount ₹55,581 pay karna hoga.
Personal Loan Self-Employed person ke liye 3 to 12 months tak milegi or loan amount ₹40,000 to ₹1,50,000 tak mil sakta hai Loan lene ke liye apke pass PAN card, Aadhar Card or ek income proof hona chahiye.
Dosto mai apko batana chahunga ki Agar apko bahut emergency hai tabhi ye sabhi App se Loan ligiyega mai aisa nahi bol raha hu ye sabhi loan app sahi nahi hai mai aisa iss liye bol rha hu kyun ki agar aap ye sabhi Loan App se Personal Loan le lete hai or Agar aap time se payment nahi karegen to apko bahut sare late charges lagaya jayega.
agar aap Loan lena chahte hai to aap le sakte hai agar bahut emergency hai or apko kahin se paise ki jugaad nahi ho paa raha but iska EMI time se pay karte rahe.
to dosto yahi kuch 3 best instant Loan App hai jo maine apko iss article me bataya hai kon kon sa loan app hai ye sabhi loan app se personal loan le sakte isme kitna interest lagega kitne amount ka loan le sakte hai sabhi jankari maine apko iss article me bataya hai sabhi loan app ka apply karne ka process 100% paperless hai.
agar apko ye jankari achhi lagi ho apko iss post ko sabhi ke sath share jarur kare taki or bhi logon Best Instant Loan App ko iske bare me jankari mile agar apka koi bhi sawal ya sujhav ho to comment me bataye aise hi or jankari ke liye hamare Website Bank Fiber par jarur visit kare iss post ko pura padhne ke liye apka bahut bahut dhanyawad.