Passport ko Vaccination Certificate se link kaise kare dosto agar international travel karna chahte hai yani vides yatra karna chahte hai to apko apna Passport ko vaccine certificate se link jarur kar lena hai taki apko baad me koi pareshani nahi aaye.
( how to link vaccination certificate with passport number ) Passport ko Vaccination Certificate se link kaise karna hai iske bare me apko Puri jankari milegi passport ko vaccine certificate se link free me kar sakte hai ghar baithe apne mobile se.
Agar aap bhi Vaccination certificate ko passport se link karna chahte to iss Article ko pura padhe iske baad bahut aasani se apne passport ko vaccine certificate se link kar payenge.
PAN Card Kaise Banaye Mobile se:- Click Here
sabse pahle baat karte hai ki kya passport ko vaccination certificate se link karna jaruri hai ? ( is it mandatory to link passport with vaccination certificate ) iska answer hai ji passport number ko vaccination certificate se link karn jarusi hai. agar aap international travel karna chahte hai to how to link cowin vaccination certificate with passport iske bare step by step janegen to aap hamare sath bane rahiye.
Passport ko Vaccination certificate se link kaise kare?
( How to link Passport with Vaccination certificate ) Passport ko vaccine certificate se link karne ke liye sabse pahle apko Cowin portal par aana hai.
Cowin Portal:- यहां क्लिक करें
Uske baad Cowin portal jo Vaccination ka official website hai open ho jayega aab apko apna mobile number dalna hai yaad rahe apko yahan par vahi Mobile Number dalna hai jo mobile number aapane vaccine lete time diya tha matlab vaccine mein jo mobile number register hai vah mobile number aapko dal dena hai.
Mobile number dalne ke baad GET OTP wale option ke upar click kar dena hai fir aapke mobile number per ek OTP jaega 6 digit ka use OTP ko dal dena hai aur submit kar dena hai.
Phir apka name dikhai dega agar apke iss mobile number se koi or bhi vaccine liya hoga to uska bhi name dikhai dega.
Passport ko vaccine certificate se link karne ke liye upper me ek option show karega Raise an issue ka uss par click kare phir se Raise an issue par Click kare.
Uske baad apke pass bahut sare options dikhai dega yahan par ek option milega Add Passport Details to Vaccination Certificate iss vale option par click karna hai.
Phir Add Passport Details page open ho jayega jisme apko apna Passport Details dalna hai sabse pahle apko select a member option par click karna hai or jis person ka passport ko vaccination certificate se link karna hai uss person ko choose kar lena hai.
or apko date of birth dalna dena hai jo bhi apka date of birth hai phir apko Enter Passport Number to apko isme apna Passport number dal dena hai jo bhi apka passport number yaad rahe ki jo name Vaccination Certificate me hai vahi name passport me hona chahiye dono same-same hona chahiye.
ye sabhi details dalne ke baad apko apko I declare vale option par click kare phir Submit Request Vale option par click karna hai.
Itna karne ke baad apka Passport ko Vaccination Certificate se link karne ke liye request chala jayega kuch hi second me apka passport ko vaccination certificate se link kar diya jayega.
aab apko apna Vaccination Certificate ko download kar lena usme apko identity proof me Passport Details jaise passport number show karega.
Aap iss Vaccination Certificate ko print out bhi nikal karke rakh skte hai vaise ye to apke mobile me pdf save ho jayega usko aap kahin bhi or kbhi bhi nikal kar dikha sakte hai.
or iss se apka passport ko vaccination certificate se link ho jayega bilkul free me koi bhi charges nahi laga sirf apne mobile se ho gaya.
So Dosto iss Article me aap ko ye janane ko mila ki aap Passport ko Vaccination Certificate se link kaise kare aab aap apna Passport ko Vaccination Certificate se link kar sakte bahut easy tarike se jo maine apko iss Article me bataya hai agar ko janakari achchi lagi ho to iss post ko apne dosto family ke sath group me share jarur kare or agar apka koi sawal ya sujhav ho to aap comment me bataye apko reply dene ki puri kosis karegen aise hi or jankari ke liye bankfiber.com per dubara jarur visit Karen is post ko padhne ke liye aapka bahut – bahut dhanywad.