Dosto Post Office me online account kaise khole iss article me bataya hai agar aap post office me khata kholna chahte hai indian post payment bank ek zero balance account hai iss account ko aap mobile se ghar baithe post office me online account open kar sakte hain agar aap bhi post office khata kholna chahte hai to aap hamare sath bane rahiye iss article ko pura padhe sabhi jankari post office me online account kaise khole step by step janegen.
Post office khata ko IPPB (Indian Post Payment Bank Account) bolte hain. Post office me khata kholne ka fayade bahut hai post office khata me apko Debit Card, Mobile Banking, NEFT, RTGS, UPI, Passbook… etc sab facility milta hai. India post payment bank account ko PhonePe, Google Pay, Paytm sab jagah link kar sakte hai matlab paytm office khata se UPI bana sakte hai jiske baad post office online account se online money transfer kar sakte hai, recharge, bill payment sab kar sakte hai. Post Office me Online Account Kaise Khole iske bare me janane se pahle jan lete hai documents kya kya lagega.
Post Office me online khata kholne ke liye documents
- Aadhar Card
- Pan Card
- Email id
- Mobile Number
- Aadhar Card Linked Mobile Number
Post Office me online Account Kaise Khole
Post office me online account kholne matlb india post payment bank online acount opening online karne ke liye sabse pahle apko apne mobile me play store se IPPB Mobile Banking App ko Download karna hai.
IPPB Mobile Banking App Dowload karne ke liye yahan par click kare
Ab apko IPPB Mobile App ko Open karna hai uske baad kuch permision liye jayega usko allow kar dena hai.
Uske baad ek option milega OPEN YOUR ACCOUNT NOW uss par click karna hai.
Phir apko mobile number dalna hai jis mobile number ko india post payment bank account me jodna chahte hai or PAN Card number dal dena hai phir Continue Vala option par click karna hai.
Uske baad mobile number par ek OTP jayega 6 digit ka uss OTP ko dale uske baad SUBMIT par click kare.
Phir apke baad Aadhar Card Number Dalne ka box aayega usme apko apko apna aadhar card ka number dal dena hai iske sath me dubara se aadhar number dusra box me dale or niche me diye option ko select kar dena hai or Submit Option par click kare.
Uske baad apko aadhar card me jo mobile number register hai uss par otp gaya hoga uss otp ko dale or submit option par click kare.
Uske baad Account Opening Form aa jayega jisme apko apna details dal dena hai.
Jaise apna mother name, father name, other details dal dena hai.
Last me apko apna details ko acche se ek baar check akr lena hai uske baad sumit kare phir mobile number par otp jayega uss otp ko dale karke submit kare.
Jaise aap sumit karegen uske baad apka post office me online account open ho jayega or apko account details show karega iske sath me apko message me milega.
Ab apko IPPB Mobile App ko dubara se open karna hai uske baad Login option par click kare. Uske baad apko jo account number or customer is mila hai usko dale phir date of birth dale or mobile number dale jo account open karte time diya hai.
Uske baad Register vale option par click kare jaise click karegen uske baad New MPIN set karne ka option milega to apko 4 digit ka MPIN set kar lena hai uske baad Set MPIN option par click kare phir MPIN set ho jayega.
Abb IPPB Mobile App ko open karegen to apka Account Show karega iske sath me apko Rupay Debit bhi show karega jiska use krke aap iss india post payment bank yani post office khata ko phonepe, google pay, paytm me add kar sakte hai or UPI PIN bhi bana sakte hai.
Dosto abb aap post office me online khata kaise khole iske bare me pata chal gaya hoga iss trah se india post payment bank me online account open kar sakte hai ummed hai apka post office me online account open ho gaya hoga agar apko ye jankari acchi lagi hogi to iss post ko apne sabhi dosto ke sath share kare or agar apko post office me online account kaise khole isko lekar koi bhi pareshani aaye to aap hame comment me bataye. Reply karke apko solution dene ki kosis karegene aise hi janakri ke liye aap hamare website par visit kare. Iss article ko read karne ke liye thank you.