SBI ATM Card Apply Online कैसे करें ?

SBI ATM Card Apply

SBI ATM Card Apply Online कैसे करें? Dosto Swagat hai aap ka Bank Fiber ka ek New Article me iss Article me SBI Bank yani State Bank of India ka ATM Card apply online kaise kare janegen agar apka SBI Bank me account hai or agar SBI ka ATM Card apply karna chahte hai to ye Article me Step by Step SBI Bank ka ATM Card Kaise apply kare bataya hai.

Kisi bhi Bank ka ATM Card ya phir Debit Card ho ek time ke baad Expired ho jata hai aise me New ATM Card ki jarurat padti hai ya phir agar kabhi ATM Card bhul jaye to uss time bhi dusra ATM Card lena padta hai agar apko kisi bhi wajah se SBI ATM Card Apply Online karna hai kaise karegen ?

SBI ATM Card Apply Online Kaise Kare

SBI ka bahut types ka ATM Card hai jaise Classic, Global, Platinum, Gold, Premium…. etc jisko apply karke apne Address par mangawa sakte hain.

SBI ATM Card Apply kitne tarike se kar sakte hain

SBI ATM Card 4 Tarike se Apply kar sakte hain jisne aap koi bhi tarike se SBI ATM Card Apply kar sakte hain sabhi method Easy hai.

  1. Yono SBI App se
  2. Internet Banking se
  3. ATM Form bhar ke
  4. Auto ATM Renewal
  5. SBI ATM Card Apply kaise kare Yono SBI App se

Yono SBI App se ATM Card Apply kaise kare

( SBI ATM Card Apply Online without internet banking ) iske liye sabse pahle apka Yono SBI App me Register hona chahiye.

Yono SBI me Register Kaise Kare Click Here

1.Yono SBI App ko open karna hai phir MPIN dalkar Login kare

  1. Uske baad niche mein Quick Links ke niche me “Service Request” option show karega uss par Click kare.
  2. Ab ATM/Debit Card option par click kare.
  3. ab apko internet banking profile password dalna hai or submit kar dena hai.
  4. Uske baad Request New/Replacement vale Option par click kare.
  5. phir apko Account number select kar lena hai.
  6. “Name on Card” me apna dalna hai.
  7. “Select The Type of Card” option ar click krke Card ko select karle.
  8. Uske baad Dispatch Address Select kr lena hai jis address par ATM Card delivered lena chahte hai.
  9. uske baad “Terms and Conditions” ko Accept krke “Next” option par click kare.
  10. Uske baad Register Mobile number par OTP jayega uss OTP ko dal karke “Submit” kar dena hai.

Uske baad apka SBI ATM Card apply ho jayega Yono SBI App ke through SBI ATM Card apke Address par 10-15 din me aa jayega.

Internet Banking se SBI ATM Card Apply kaise kare

SBI Bank ka internet banking me Statement Check, Paise Transfer, Account Transfer….etc bahut sare Option mil jata hai jisme ATM Card Online Apply bhi kar sakte hai iske liye apko kuch Steps ko follow karna padega or aap SBI ATM Card Apply with Net Banking kar sakte hai jo kuch Step follow karna hai niche dekh sakte hai bata rhe hai.

iske liye sabse pahle apko SBI Net Banking portal par aana hai.

  1. Sabse pahle Chrome Browser kholen.
  2. Phir www.onlinesbi.com type kare.
  3. phir “Personal Banking” ke Login option par click karna hai.
  4. “Continue to Login” par click kare.
  5. uske baad apna Internet Banking ka username or password dale.
  6. niche jo “Captcha” hai usko dal karke Login kare.
  7. Ab apko upper Side baar mein “e-service” ka option milega uske upper click karna hai.
  8. phir apko “ATM Card Services” option par click kare.
  9. yahan par apko “Request ATM/Debit Card” Option par Click karna hai.
  10. uske baad apna Account Number ko select krle.
  11. or niche me “Card Category” mein Debit Card option par click kar dena hai.
  12. “Name on Card” jo name apko Card par chahiye usko dale.
  13. Ab apko “Type of Card” mein jis trah ka Card lena chahte hai usko select kar lena hai.
  14. Uske baad niche “Disclaimer” ko select kr dena.
  15. Phir apke pass ek new Screen aayega jisme sabhi Details show karega
  16. Uske baad apko Address Select kar lena hai Registered Address or Parmanent Address jis Address par aap SBI ATM Card deliverey lena chahte hai.
  17. Ab Submit Option par click kare.
  18. Uske baad Registered mobile number par ek OTP jayega uss ko dal karke Submit kar dena hai

Phir apka SBI ATM Card Apply NetBanking se ho jayega. SBI Bank ka ATM Card apke address par 10-15 din me aa jayega.

SBI ATM Card Apply Form bhar ke

Agar apka SBI Bank me New Account hai agar apne New Account khulwaya hai ya phir agar aap pahli baar SBI Bank ka ATM Card Apply kar chahte or agar apka SBI internet Banking register nahi hai to aise mein apko SBI ATM Card lene ke SBI Bank me jaa kar Form Counter se ATM Apply Form lena padega uske baad SBI Bank ke ATM Apply Form ko bhar karke or usne Signature karke Form ko jama kar degiye apke Address par New ATM Card aa jayega

SBI Bank ka ATM Card kitne din me aata hai?

SBI ATM Card Apply karne ke 15-20 din me aa jata hai.

Auto ATM Renewal

Jaise agar apka SBI Bank me Account purana or apke pass pahle se ATM Card tha or agar apka ATM Card Expire hone vala hai to Expire hone se 1 month pahle se Bank apko New ATM Card jari kar deti hai ye apko post office se bheja jata hai iske liye apko kuch bhi karne ke jarurat nahi padti hai sirf apko apne Post office me pata lagate rahna hai ki Apka ATM Card aaya hai ya nahi.

dosto To iss trah se aap apne SBI ATM Card Apply Online kar sakte hai yahan par maine apko SBI Bank ka ATM Card Apply karne ka 4 Tarika bataya hai aap kisi bhi method se apna ATM Card Apply kar sakte Dosto umeed hai apko SBI ATM Card Apply Online Kaise kare jankari acchi lagi hogi or aap apna SBI ATM apply kar paye honge. agar janakari achhi lagi hogi to iss post ko apne friends and family ke sath share jarur kare taki sabhi logon ATM Card Apply kaise kare online jan paye aise hi or bhi jankari ke aap hamare Bank Fiber Website par jarur Visit kare. Iss post ko padhne ke liye apka bahut bahut dhanyawad.

Comments are closed.