Flipkart Axis Bank Credit Card Benefits, Charges & Apply

Flipkart Axis Bank Credit Card

Flipkart Axis Bank Credit Card Apply Kaise Kare dosto Flipkart Axis Bank credit card apply Online karne ka process step by step bataya hai Flipkart Axis Bank Credit Card Benefits kya hai flipkart Axis Bank Credit Card Eligibility kya hai flipkart Axis Bank Credit Card Charges kya hai Flipkart Axis Bank Credit Card Apply karne ke liye documents kya kya lagega or to aap iss Article ko pura jarur padhe.

Sabse pahle jante hai Flipkart Axis Bank Credit Card Benefits kya kya hai uske baad iska charges ke bare me janegen kyun ki koi bhi product ko lene se pahle uske charges ke bare me jarur janana chahiye taki apko ye pata chal sake vo product apke liye fayade or affordable hai uske baad Flipkart Axis Bank Apply karne ka Process step by step janegen.

Flipkart Axis Bank Credit Card kya hai:-

Flipkart Axis Bank Credit Card ek Co-branded Credit Card hai Axis Bank Flipkart ke sath mil karke Co branded Credit Card launch kiya hai.

Flipkart Axis Bank Credit Card Benefits:-

Flipkart Axis Bank Credit Card jo ek hai shopping ke liye best Credit Card hai Agar Aap online shopping jayada karte khas karke agar Flipkart, Myntra jaisi website per jyada shopping karte Hain to aapke pass ek Flipkart Axis Bank credit card jarur hona chahiye.

Flipkart Axis Bank credit card welcome benefits agar apka Flipkart ka Axis Bank Credit Card approved ho jata hai to apko Welcome benefits me ₹500 Flipkart Voucher milega

Flipkart Credit Card iss se agar aap Flipkart or Myntra se shopping karte hain to aapko jo hai unlimited 5% Cashback milega

Swiggy, Uber, Tata 1MG…. bahut sari partner website hai jis per aapko shopping karne per 4% ka unlimited cashback mil jaega aur is credit card ka Aap Jo agar other kahin bhi jagah use karte hain uske liye aapko jo hai 1.5% ka Cashback milege.

Iss Credit card ka khas baat yah hai ki Jo bhi aapko cashback milta hai vah aapke credit card mein add kar diya jata hai.

Flipkart Axis Bank Credit Card Charges:-

Flipkart Axis Bank credit card charges joining fee ₹500 hai but apko first time Flipkart Axis Bank Credit welcome benefits ₹500 Flipkart Voucher mil jata hai.

or Annual Fee bhi ₹500 hai jo charges lagega usme gst 18% alag se hai. but agar iss card use krke 1 year me 2 Lakh se jayada spend kr dete hai to Annual Charge Waived off ho jayega matlab nahi lagega.

Flipkart Axis Bank Credit Card Apply Eligibility:-

Flipkart Axis Bank Credit Card Apply karne ke liye Eligibility normal hai jo other credit card ke hote hai jaise.

Age:- 18-70 Years
Indian or NRI
PAN Card
Aadhar Card

Proof of income:-
Salary Slip
IT return

Salary hai to minimum 15000/month
Self employed to 30000/month

Note:- bina Proof of income ka bhi Flipkart Axis Bank Credit Card mil sakta hai.

Agar apke pass ye sabhi Documents ready hai to aap Flipkart Axis Bank Credit Card Apply kar sakte hain.

Flipkart Axis Bank Credit Card Apply Kaise Kare:-

Flipkart Axis Bank credit card apply karne ka 2 Tarika hai First ki aap Flipkart app mein jakar credit card apply kar sakte hain aur dusra Axis Bank ka website mein jakar credit card apply kar sakte hain.

But bahut logon ka Flipkart me Flipkart Axis Bank Credit Card Apply karne ka option nahi milta hai.

Agar Aap Flipkart Axis Bank Credit Card apply karne ja rahe hain aur vahan per agar coming Soon ka problem a raha hai ya fir doston koi bhi problem a raha hai jisse aap bhi Flipkart Axis Bank credit card ko apply nahin kar pa rahe to aap dusra Tarika se Flipkart Axis Bank credit card ko apply kar sakte hain

Flipkart Axis Bank credit card ko apply karne ka online naya process batane wale kaise aap apply kar sakte hain iss tarike se koi bhi Axis Bank credit card apply kar sakta hai.

Sabse Pahle batate hai Flipkart se Credit Card Apply Kaise Kare iske liye sabse pahle Flipkart ko open karna hai or Account section me jana hai uske baad Flipkart Axis Bank Credit Card vale option par click karna hai uske baad vahan par mobile number dalna hai phir OTP jayega usko dal karke Verify kar dena hai.

Uske baad kuch basic sa details dalna hai jaise Pan Card number apna name, date of birth, mother name phir next karna hai.

Phir address dal dena hai jo bhi aapka current adress Hai resident se adress hai pin code Sab kuch details dal dena hai.

Next page mein aapse aapka employment type select karna hai Salary ya self employed jo bhi usko select karke company name or bhi details dal dena hai phir submit kar dena hai.

Uske baad OTP jayega uss OTP dal karke submit kar dena hai. Phir apke pass Video Kyc ke Option aayega jahan se apko Video KYC Complete karna hai Video KYC karne ke liye apke pass original Pan Card hona chahiye.

But agar apka pahle se Axis Bank Mein account hai aur aap vahi mobile number se Flipkart mein account banakar credit card ko apply kiye Hain to aapko KYC karne ke liye option nahin aaega direct aapka credit card approved ho jaega.

Agar Apko Flipkart me Axis Bank Credit Card Apply karne ke liye Flipkart me Option nahi aa raha hai to Axis Bank Website se Direct Apply kar sakte hain.

Flipkart Credit Card Apply:- Click Here

aab ke pass do option milega agar aap Axis Bank ka customer hai to aap YES wale option ke upar click karenge agar nahi hai to No wali option ki per click karenge. phir apna besic details dalegen jaise Name, Pan Card number, mobile number….etc dal krke submit kregen OTP jayega uske dal kar verify karegen.

phir mother name, father name, address, Pin Code, employment type, company name, annual income or bhi other details dal karke submit karegen.

Phir apke pass Axis Bank Ka Credit Card show karega jisme Flipkart Axis Bank Credit Card Show karega to apko Flipkart Axis Bank Credit Card ko Select Karna hai or submit karna hai.

uske baad OTP jayega jisko dalna hai or Submit kar dena hai apke pass application number mil jayega or Axis Bank ki traf se message aa jayega apka Flipkart Axis Bank Credit Card Apply ho jayega.

Application number ka use karke Flipkart Axis Bank Credit Card ko Track kar sakte hain.

ab aage ka process me Apka KYC ko Complete kiya jayega jiske liye apke address par Axis Bank Credit Card se ek agent aayega KYC karne ke liye iske sath me income proof bhi liya jaa sakta hai. but agar apka Axis Bank me Account hoga to ho sakta hai apse se ye sabhi details nahi liya jaa sakta hai direct apka Credit Card approved bhi ho sakta hai.

Flipkart Axis Bank Credit Card Cashback:-
Flipkart Axis Bank Credit Card Cashback jo milta hai apke Credit Card Statement me show karta hai or vo Apke Credit Card limit me Add ho jata hai.

Flipkart Axis Bank Credit Card lounge access:-
Iss Credit Card me 1 year me 4 lounge access milta hai.

What is the cibil score for Flipkart Axis Bank credit card?:-
Flipkart Axis Bank Credit Card ke liye CIBIL Score min. 700 hona chahiye

Flipkart Axis Bank Credit Card customer care:-
Flipkart Axis Bank Credit Card Customer Care ka number 1860-500-5555

Flipkart Axis Bank Credit Card
Flipkart Axis Bank Credit Card Status:-
Flipkart Axis Bank Credit ka Status Check karne ke liye Axis Bank Website par jana hai Uske bad Track Status par click Krna hai jo aapko application number mila hai mobile number dal krke OTP dalna hai or Submit kar dena phir Credit Card Status Show krega.

Dosto iss Article me aapane Jana Flipkart Axis Bank credit card apply kaise karen iska kya benefit hai kya charge hai ab Aap aasani se Apna Flipkart Axis Bank credit card ko apply kar sakte hain agar aap ko jankari acchi lagi ho to is artical ko Apne doston or family ko Share jarur Karen aapka koi bhi sawal ya sujhav Ho to aap comment Mein bataen uska reply jarur karenge aise hi or jankari ke liye Website Bank Fiber ko jarur visit kare pura padhne ke liye aapka bahut bahut dhanyawad.

Comments are closed.